Thursday 20 September 2012

Aansu aur hum

Aansu ki utpatti
badi hi mayaavi hai..

Kabhi to dil ke taaron ko chedti koi dhvani
aansu ka kaaran hoti hai.
Kabhi kisi drishya se nikalne vali bhav tarangein,
dil ko ghinghor kar ,karuna ka roop leke
aankon se pravahit hoti hai.

Kabhi yun bhi hota hai
ki kisi ka anapekshit maun,
bhavnayon ka santulan bigaad de
aur rona ke siva koi chara na rahe.

Kabhi yun bhi hota hai
ki rote ko manchaha kaandha na mile,
uske rudan se koi karaahta na mile,
to yeh baandh aur khul jaye.

Sach to yeh hai
ki yeh aansu dil ka pasina hai.
Jab bhi bhavnayon ka davaab
dil ko nichodta hai,
yeh bekal dil, anayas hi aankhon tak
is namkeen paani ka sanchar krta hai.

Chuunki aansu dil ka pasina hai,
to yeh bhi sambhav hai
ki bhavnaon ke bojh se roz varjish krte krte,
dil itna majbuut ho jaye
ki pahaad jaisa dukh bhi
aansu ke is nal ko diga na sake,
ankhon ko koi bhiga na sake.

Is bhogvilaasi duniya mein,
sab vyast hain, sab grast hain.
ashruon ki mahatta itni kam ho gyi hai,
ki aansuon se sahanubhuuti karne se pehle
log usmein namak ki maatra naapte hain.

8 comments: